Monday, December 30, 2002

vo pyar kahan gaya?

main khud nahi jaanti aisa kyun hua,
to tumhe kaise bata doon??
main khud nahi jaanti vo pyaar kahan gaya,
to tumhe kaise bata doon??
Haan, tu mera pyaar tha kabhi
par ab vo pyaar kahan gaya??
kuch dino pehle jo ikraar hua tha
uska arth (meaning) kahan gaya??
jaanti hoon, maine hee kaha tha pyaar hai
phir ab kyun vo pyaar, pyaar nahi raha??
jaanti hoon maine hee ikraar kiya tha...
phir ab kyun...
ban-na chahti thi main teri
hamesha...hamesha ke liye
bas ek yahi thi arzoo meri,
jeena chahti thi main tere liye
ab to himmat bhi nahi hoti baat karne ki
lagta hai aankhen nahi mila paayenge hum
jab aayegi baat, baat karne ki
kya kahoongi main tumhe,
jab tum kahoge "I LOVE YOU"
de nahi paaungi vo dukh...
jo kuch dino se khud jhel rahi hoon.

Saturday, December 28, 2002

Chehra

raatoin ko dikhayi deta hai ek chehra,
aesa lagta hai vo hone waala ho mera.
pehle kabhi usse dekha nahi...
par lagta hai ye hai vahi
jisse hum karenge pyaar
kehlaye jaayenge hum uske yaar

jaane kab hogi mulakaat
hum kar rahe yahan intezaar
intezaar us ghadi ki
jab nazrein mujhpe padengi uski
woh dekhega mera chehra
aur bas ho jaayega mera

Tuesday, December 24, 2002

jab jana hi tha to...

tum meri zindagi mein laye...pyaar
par khud chale gaye
ab yahan nahi...dil-kash-bahaar
kyunki tum chale gaye
Aree! jaana hee tha to aaye kyun,
aaye to pyaar laaye kyun?
kyun aisa jaadu chalaya
ki maine apna dil gawaya
tujhko apne paas bulaya
kadmo ko aage badhaya
Aree! jaana hee tha to bataaya kyun nahi,
bataate to hum ishq karte nahi
tumko hee sochte rehte the,
tumko hee maangte rehte the,
hum to raat-din, subah-shaam
tumko hee sochte rehte the.
Aree! jaana hee tha to jaan-pehchaan kyun badhai,
apne bechain dil ki baatein kyun batayi?
Jab pata chala tumko bhi hai pyaar,
hum to khushi ke maare mar gaye yaar.
sapne dekhne lage anginat, anmol
jab khushiya mili itni hazaar.
Aree! jab jaana hee tha to khush kyun kiya,
tumne mujhko apna dil kyun diya???????????

Tuesday, December 17, 2002

d-u-r-i...Duri!!

dharti aur aakash, paani aur aag
dur hain kitne pata chala hai aaj
teri-meri duri bhi kuch aisi hee hai
suraj aur chand ke jaisi sii hai.

Saturday, December 14, 2002

Aakhir Kab???

tumne meri aankhen churaai, dil ko kab churaoge?
tumne meri neende bhagaai, apna kab banaoge?
apni haseen surat ke, paas kab bulaoge?
apne haatho se, mera haath kab milaoge?
apne dil ki dor, akhir kab chodoge?
humare beech ki duri, tum kab todoge?
mujhe dekhne ke liye, apna muh kab modoge?
mere dil se apna dil, akhir kab jodoge?

Tuesday, December 10, 2002

ye nazarein

jab dekhna chahte hain tumhe...
to nazrein uth nahi paati...
jab kehte hain nahi dekhenge tumhe...
to nazrein tumhee par hain tik jaati

main bewafa

Shayad maine tumko,
Anjaane mein dhoka diya…
Khud hee bujhaya,
Apne dil ka diya.
Zindagi mein apni…
laake tumhe,
Dur bhi bahut jaldi…
Kar diya.
Bewafa nahi,
Kamzor hain hum…
Par tumhare liye
Bewafa hain hum.
Wafa karna chahte the,
Kasam se…
Phir jaane kaise,
Ye ho gaya.
Jo yahan hua,
Hua tumhare saath nahi,
Kyun tumhare saath…
Ye hua nahi.
Main bewafa hoon…
Apni nazron mein.
Tu kyun karta mujhse,
Nafrat nahi?
Nafrat karlo humse,
Kahein kaise.
Jee nahi payenge…
varna hum aise.
Humko tumse nafrat nahi,
Par kaise kahen pyaar bhi nahi…
Isliye kehte hain tum karlo…
Humse nafrat aaj aur abhi.

Monday, December 09, 2002

pahle aur ab...

pahle jab baat karte the,
to kehte the...
Humari zindagi...
Humari-tum aur main ek saath.
Ab baat karte hain,
to kehte hain...
Meri zindagi, teri zindagi...
ek pal mein sabkuch kho gaya.
Humari zindagi se...
ab sabkuch tera mera ho gaya.
ek jhatke mein...dur chale gaye
apne se...ajnabi ban gaye.

Saturday, December 07, 2002

kehan...sun-na

humne jo tumse kaha,
tumne to sunkar bhi na suna
ja tumne aaj tak kaha nahi...
vo humne kab ka sun liya.

Friday, December 06, 2002

Zindagi aur Maut

Zindagi aur Maut par pehli baar kuch combined likha hai. hope u all
will like it. If not everybody, I hope somebody will :)

THIS IS THE FIRST ONE...

kyun aate hain log,
aur phir chale jaate hain.
phalate hain khushiya,
aur phir gham de jaate hain.
hum bhi ek din chale jaayenge,
bas apni yaadein peeche chod jaayenge.
yaad karenge log humein,
aur phir bhool jaayenge.
kuch yaad aane par,
phir se aansu bahayenge.

AND THE SECOND ONE...

maut se kaun bach paya hai aajtak,
zindagi se kaun muh mod paya hai aajtak.
maut se pehle zindagi jeeni hee padti hai,
zindagi ke baad maut ki ghoonth peeni hee padti hai.

dil ki kahani

is dil ki kahaani,
hai badi niraali...
kabhi aankhon mein khushi,
to kabhi hai paani.

i don't know why...

i don't know why,
mujhe pata nahi kyun,
par hota hai dard,
jab bhi tujhko sochti hoon.
dil mein tha-hai tu,
saanso mein bhi tu.
phir bhi tujhse dur,
main jaana chahti hoon.

Oooo sanam

dil kehta hai gale lagaun
tujhko main apna banaun
pyaar-pyaar bas karte jaaun
Oooo sanam.

paas khud ko tere laaun
tujhko apni manzil banau
ghadi-ghadi pyaar barsaun
Oooo sanam.

tujhko main nakhre dikhaun
baat-baat par main tarsaun
hansi-mazak bas karte jaaun
Oooo sanam.

sapne ko bhi sach banaun
ek-na-ek din tujhko paaun
zindagi ko khushhaal banaun
Oooo sanam.

tere saath hee rehna chahun
ab main kya tujhko bataun
bas main tere paas aa jaun
Oooo sanam.