Friday, December 26, 2003

dil se keh nahi paate

kis kis ko nahi bataya... koi bhi nahi samajh paya hai
jisne humse dil lagaya... kyun humne use thukraya hai
gale to hum bhi laga lete... apne us deewane ko
par kabhi dil se keh nahi paate "janam tum humare ho"

Thursday, December 25, 2003

diwani ki kahani

har ajnabi chehre mein uski jhalak dikhayi deti hai
chalti hai deewani jab, to nazar jhukaye rehti hai
dikh jaata hai vo kahin to dhadkan kyun ruk jaati hai
chalte chalte jaise koi dor si khich jaati hai

paani ki lehron mein bhi jannat dikhayi deti hai
chalti hai deewani jab to nazar jhukaye rehti hai
aankhen gar mil jaayen to din poora ho jaata hai
nazarein phir jhuk jaati hain, pagal mann kho jaata hai

barkha ki pehli boonde jab dharti par pad jaati hain
is pagli deewani ko phir yaad usi ki aati hai
nazrein phir jhuk jaati hain, pagal mann kho jaata hai
muskurahat ka lamha phir se wapas aata hai

aasman jhilmilata hai, raat jab bhi aati hai
ye pagli taaro se uska chehra banati hai
raat bhi dhal jaati hai, suraj chadh aata hai
is tarah deewani ka poora din kat jaata hai

Tuesday, December 23, 2003

aur kuch ho na ho

tum jab mujhse pyari pyari batein karte ho
aankhon mein dekh kar jab aahein bharte ho
halka sa muskurate ho, baalo ko sehlate ho
paas aakar jab bhi mere hotho ko chukar jaate ho

meri saanse mahak jaati hai
hawa mein masti chaati hai
aur kuch ho na ho
meri dhadkan gana gaati hai

jab bhi apne hathon se tum mere haath chu jaate ho
jaanpooch kar apna kandha jab mere se takrate ho
jab bhi meri aankho se ye reshmi baal hataate ho
phir tum apni baahon mein jab mujhko lehrate ho

mera chehra khil jaata hai
masti ka sama chhata hai
aur kuch ho na ho
mera dil gungunata hai

Thursday, December 11, 2003

tujhko main bhoolungi kaise?

main kitni bhi koshish karoon, koi madad nahi karta
tujhko main bhoolungi kaise? rab bhi yahi hai kehta
kabhi-kabhi lagta hai jaise, maksad ho gaya ho poora
phir kuch dikh jaata hai aisa, bhavishya lagta hai adhoora

kal ki hi baat le lijiye, hum sabkuch bhula kar baithe the
bahut achhi tabiyat thi apni, mat poochiye hum kaise the
jaane kahan se udte-udte ek chitthi aa gayi saamne
kisi zamane mein likhi thi vo humne naam aapke!

achi khaasi aankhon mein bekaar hi paani aa gaya
khilkhilata chehra mera ekdam se murjha gaya
main kitni bhi koshish karoon, koi madad nahi karta
tujhko main bhoolungi kaise? rab bhi yahi hai kehta

Tuesday, November 04, 2003

khuda bhi aisa nikla!

Aaj akhiri din tha, aur jaate-jaate bhi dikh gaye tum
Na dikhte to koi gham na hota, phir kyun dikhe tum?
Saare din mein maine, tumhare baare mein bilkul na socha
Antim waqt par, khuda de gaya mujhko dhokha!!

Saturday, November 01, 2003

pyar kar rahe hain

mujhe achhe lagne lage, dil ke sachhe lagne lage tum
door se hee, apne se lagne lage tum

tumhare hasne ka andaaz, baat karne ki adaa
kar chuki hai mujhe tumpar fida

nazar mila kar tumhara nazar churana, yun hee bahane banana
bana chuka hai mujhe tumhara deewana

ugte suraj mein tumhara chehra, dubte chaand mein tum ho
zindagi ki raah par chal rahe hain hum, humara saathi tum ho

khayalo mein aa jaate ho yun hee baithe-baithe
saath sajate ho sapne na jaane kaise-kaise

hum yahan muskurate hue tumhara intezaar kar rahe hain
tum par aitbaar karke tum hee se pyaar kar rahe hain

intezaar

duniya mein kitne dukh, kitni nafrate hain
phir bhi logon ke diloin mein pyaar rehta hai
koi kuch samajhne mein kitni hee der lagaye...
aashiqon ke diloin to intezaar rehta hai!!

aapke liye...

hawa jab chalti hai to honth muskurate hain
aap jab dikhte hain to hum sharmate hain
hase ya roye gaane gungunate hain
aapke liye shabdo ko jagate hain!

Ye kaisa rishta hai?

bhulaye bhi nahi jaate, gale se lagaye bhi nahi jaate
ajnabi nahi hain, phir bhi apne kahlaye nahi jaate
vo dost the humare, pyaar ban gaye,
pyaar se phir dosti par aa gaye
jaane humare beech ye kaisa rishta hai,
bandhan judaye bhi nahi jaate, chudaye bhi nahi jaate

Tuesday, October 28, 2003

bhari aankho ko sukhna sikhaya nahi jaata

jal jaata hai ye dil, to phir bujh pata nahi
tuta hua sheesha, joda bhi jaata nahi
dil mein koi bas jaaye, to koi doosra basaya nahi jaata
bhari aankho ko sukhna sikhaya nahi jaata

log mujhse poochte hain

log mujhse poochte hain, kya mujhe tumse pyaar hai
aise kaise unko keh doon, baat vo, jo raaz hai
tumko bhi ehsaas nahi ye, unko phir kyun pata chale
nazdeek nahi ho tum humare, phir bhi jaise dil mein base

Wednesday, September 24, 2003

...Ishq

ab kis par ungli uthaun...
kis-kis to doshi thahraun?
dil to kabhi na kabhi tut-na hi tha
kyun us bechare to mulzim thahraun?

humne to zamane ki parvah na ki
usko sab sach bata diya
ab kya karein gar vo nadan hai to
usne aaj-tak ishq hi na kiya

muskarahat ke saath-saath, dard bhi kitna deta hai
ye ishq to saari khushiya chheen leta hai
maano saare zamaane ka, akele isi ne liya hai theka
isiliye to har kisi ne bhavnao ko nikal pheka.

Tuesday, September 23, 2003

kabhi-kabhi dil karta hai...

kabhi-kabhi dil karta hai...main tumko bhool jaaun
tod doon bandhan...hawaon mein kahin jhool jaaun
hum ek duje ke nahi...sara jahan jaanta hai
to phir kyun tumhare intezaar main apna waqt gavaun

Sunday, September 21, 2003

alvida...

Likhne ke liye to bahut kuch hai, bas shabdo ki kami hai
kaafi dino se ro rahi hoon, aankho mein nami hai
aansu ponchu... ya tumhe yaad karoon?
kitne saalo tak anjaan rahoon?

kab tak ye moti bahaungi main...
kab tak intezaar karungi
kisi aur ke saath dil laga leti hoon
phir uss-se hee pyaar karungi

kisi ko bhulane mein kitna waqt lagta hai
aaram se bhool jaaungi tumhe
mujhpar to koi bhi mar sakta hai
tumhari zaroorat hai kise?

Wednesday, September 17, 2003

Adhoore Hain Hum!

humein to unhi se pyaar ho gaya, jinpar humara koi haq nahi
dil to har roz chot khata hai, iske tutne ka koi waqt nahi
man ne to apne aap hi gava diya khudko, na poocha koi sawal
aansu bahata hai ab ye dekhkar unko, mila jo nahi koi jawab

galti to kisi ki bhi nahi, dil ko kyun gunah-gar maanein
chaha to humne bhi tha unhe, vo hi na dil ki baat jaanein
kahte to hain bhool jaayenge unko, par kya ye mumkin hai
jee to hum kisi ke bhi saath lenge, par hum adhoore un-bin hain

Tuesday, August 26, 2003

Tumhara Chehra

Chehra tumhara, tumhara chehra nahi
meri zaroorat ban gaya hai
dekhkar tumhe baar baar...
mera dil khil gaya hai

sannate mein bhi tum hee sunayi dete ho
koi aahat ho...to tum hee dikhayi dete ho
tumse kya kahoon, tum kahin aur nahi...
mere is deewane dil mein bas gaye ho

subah-subah aankhen tumhee ko khojti hain
dekhkar tumhe ye bahut khush hoti hain
baaki ka din muskaraate hue niklata hai
kahin aur tumhe pata hai, to kho sa jata hai

din ki tarah raatein bhi lambi ho gayi hai
tumhare hee sapno mein kho gayi hain
ye kaisi ajeeb see baat ho gayi hai
shayad dillagi tumhare saath ho gayi hai!

Monday, August 25, 2003

Ishq ka jhonka

khwabo mein aana tumhara
raato ko jaagna humara
aur kuch nahi
hai pyaar ka nazara

tumhari pyaasi nazarein (eyes)
humare anokhe sapne
aur kuch nahi
hain saajan apne

aankhon mein jhankna
chehre ko niharna
aur kuch nahi
hai ek ishara

dil ka khona
kuch-kuch hona
aur kuch nahi
hai ishq ka jhoka

Wednesday, July 30, 2003

vo humara nahi...

sir ke upar chand bhi hai, sitare bhi...
dil mein aas bhi hai, kuch gaane bhi
tanhai mein baithe-baithe yaad kare to kise kare
dil mein rehte hain jo sarkaar...vo hi humare nahi!

Saturday, June 28, 2003

alvida dilruba

hum mein gham chhupane ka saahas hai dilruba
tumse kabhi nahi kahenge kitna dard tumne diya
aankho se aansu nahi khushiya hain chhalak rahi
uske saath raushan ho tu, dil se ye dua uthi

humari or na dekhu yun baar baar, fikr na karo humari
aaj to mubarak baat de raha hai, tumhe re raunak sama bhi
tumhari zindagi khush-haal rahe, muskurati raho sada tum
dard, gila, sab zindagi ki den.. tumse na honge khafa hum

Wednesday, June 25, 2003

main hoon tumhari priya

aane ki bahut koshish ki, koi rasta nahi mila
batakte rahe yuhi dar-dar, koi sahara nahi mila
tumko maine anjaane mein bahut dard diya hai
ho sake to maaf kar dena, main hoon tumhari priya

Tuesday, June 24, 2003

pyaar nahi karenge phir se...

pyaar nahi karenge phir se, nahi banayenge kisi ko jaan
kyunki..............
muskurange do-pal, par phir, kho denge khushiyon ka jahan

Monday, June 23, 2003

batayiye...

yaad koshish kaise kare aane ki
jab aankhon mein bas tum hee ho
hum khoshish kyun kare bhulane ki
jab saanse meri tum hee ho

aaye haaye!!!

hum to zindagi ko hee bhoole baithe hain
jab se ki hain tumse aankhen chaar
rahoon main kahin bhi, karoon kuch bhii
yaad aate ho tum hee baar baar

Saturday, June 21, 2003

sache dil se maanga tha!!

kuch to aisa hona tha jo humne chaha tha
kyun nahi mila vo jo dil se maanga tha
uske liye dil ne khud ko khud se haara tha
sache dil se maanga tha, use sache dil se maanga tha

kitne sapne dekhe the, kitne the armaan
usko apna bola tha, kaha tha vo hai jaan
khud ko mohabbat ka matlab samjhaya, maana usko yaar
bin kuch paaye sabkuch gavaya, kar liya tha pyaar

Thursday, June 19, 2003

sabhi ko pyar ho

khuda kare sabhi ko pyaar ho
par kisi ka aisa na haal ho
dil to sabhi ka bekaraar ho
par koi bevajah na behaal ho

PS: Love is great, painful thing is the heart break!

Thursday, June 12, 2003

kabhi-kabar...

kabhi-kabar dil tut bhi jaya karte hain
har dil ho sambhalne ke liye dildaar nahi hota
yun to hum unhi se pyaar karte hain
par unhi ho is baat ka ehsaas nahi hota!

kabhi-kabar...

kabhi-kabar dil tut bhi jaya karte hain
har dil ho sambhalne ke liye dildaar nahi hota
yun to hum unhi se pyaar karte hain
par unhi ho is baat ka ehsaas nahi hota!

Tuesday, June 10, 2003

dil ka ehsaan...

abhi abhi lagta hai, apko pyaar ka nasha chadha hai
humse poochiye...is nashe mein maza bada hai
dil tut-ne ke baare mein kabhi sochte nahi hum
akele hee kha lete hain lakho-carodo kasam!

par phir ek hee pal mein, sabkuch khatm ho jata hai
jo kabhi dekha tha humne, vo swapn kho jata hai
pyaar khushi ka hee nahi, dard ka bhi naam hai
ye dard to...kambhakht is dil ka ehsaan hai!

Wednesday, June 04, 2003

Kaise maan lein...

kaise maan lein ki kisi ko pyaar hai...
jab har koi pyaar ke arth se anjaan hai

PS: Arth = Meaning

Saturday, May 03, 2003

bana lo mujhko apna

aisa nahi hai jaan-e-man ki dil tumhara nahi
par kya kahen ab tumse hum, tumne kiya koi ishara nahi
isiliye to hum darre-darre se hain
abhi tak tumse dur hee khade hain

tum hee to ho...jiske hain hum
tum hee se hai...duniya sanam

aa jaao humari bahon mein, bana lo humko apna
hum bhi tut jaayenge, keh denge tumko "sajna"
tumhee ko to dekhkar hum muskarane lage hain
tanhai mein bhi, jaane kyun, gun-gunane lage hain

Friday, April 25, 2003

Tanha Zindagi

Tanha hai zindagi, tanha hai ye safar
paas hum apne nahi, dur ja chuka jigar.
shayad kiya hum ne hee kuch
aur ab, kho baithe sab kuch.
shayad ki hum hee ne galti
mafi bhi nahi mil sakti.
kiya tha kissi se pyaar
kar nahi paaye intezaar.
kehte the usko dildaar apna
vo hee to tha mera sapna.

Tanha hai zindagi, tanha hai ye safar
paas hum apne nahi, dur ja chuka jigar.
hua kaise ye, pata nahi
shayad ab, hum mil na paaye kabhi.
apne par mujhe hai dhikkar
ro-ro kar, kar rahi hoon prahaar.
vo bhi to marta tha mujhpar
jee raha tha ghut-ghut kar.
ab shayad anjaan hain hum
do dil...do jaan hain hum!

Thursday, April 10, 2003

ye zindagi hai aap hee par kurbaan

kitni aasani se kah diya "bhool jaao mujhe"
kitni aasani se kah diya "mita do mera naam"
shayad aap abhi tak jaan nahi paaye
ye zindagi hai aap hee par kurbaan

Kyun dil ko mere... TU acha lagne laga?

tu hee bata de mujhe kyun dil dhadkane laga
kyun dil ko mere tu accha lagne laga
tanhai mein bhi dil muskurane laga
isko to har jagah tu nazar aane laga

kya kehte hain ise jo ho gaya hai mujhe
jaanti nahi par sochti rehti hoon tujhe
anjaam kya hoga iska bata
kahin log issi ko to nahi kehte khata?

hum anjaan hain is bhavna(feeling) se
par lagta hai jaante hain ise
hum anjaan hain tumse
par lagta hai chaahte hain tumhe

kab milenge hum tumse banke ajnabi
aur phir honge juda jeevan mein kabhi nahi
kab mulakat hogi humari tumse
aur hum chupa lenge tumko dil mein.

hum bhi tumko chura lenge, jaise tumne humko churaya hai
aur kuch nahi kar sake, to batayenge dil mein tumko basaya hai
aaj nahi to kal mil hee jaaoge tum humein
kal nahi to parso paa hee lenge hum tumhe

kyun hai tumhare liye dil bechain aaj
kya hai tum mein aisi khaas baat
bin jaane hee deewane ban gaye hain hum
kyun tumhara hee ho gaya hai man

mere dil par tumne ye aisa kiya hai jaadu
tum hee ko sochne ke liye main raat-raat bhar jaagu
tumko dekhkar hone lagi hai pal-pal halchal
sochti hoon tumhe to chalti hai hawa chanchal

Tuesday, April 08, 2003

Aap!

mere dil mein aap bas gaye, meri saanso mein bhi aap
yahan ki hawa to bas karti hai aap hee ki baat
aisa koi lamha nahi, jismein aapka khayal na ho
aiaa koi pal nahi, jismein aap saath na ho

humari zindagin men to hai aapka intezaar
aap agar mil jaaye to aa jaaye bahar
humare hoto par to aapki pyaas hai
humari aankhon ko aapki aas hai

zindagi meri muskarane lagi
dekhkar aapko sharmane lagi
tanhayi mein aapki yaad aane lagi
main to sapno mein sapne sajane lagi

akele hee yaadein basa rahi hoon main
khud ko aapke naam se sata rahi hoon main
meri baahein sooni-sooni hain
aapke bina ye raat adhoori hai

aapko hee sochte-sochte so jaayenge hum
subah bhi aapko hee ankhon mein payenge hum
abhi nahi aap paas humare yahi to gham hai
par rahenge sada saath humare...isiliye to hum hain!

Tuesday, March 11, 2003

Dekho... vo muskuraya!

sapno par raaj hai jiska
humne kiya uncha maan hai jiska
dekho, vo khada vahan hai
jaane vo kahan-kahan hai!

jisne tadpaya humko
pal-pal sataya humko
dekho, vo muskuraya
humko deewana banaya

jiski pahli nazar ke ho gaye shikar
chal-phir sakte hain, par ho gaye beemar
dekho, vo khada vahan hai
kya dekh yahan raha hai?

jisko hum khojte rehte hain
har-pal sochte rehte hain
dekho, vo muskuraya
shayad mujhko apna banaya

Wednesday, February 26, 2003

Intezaar hai tumhara...

pyaar nahi karte tumse, par intezaar hai tumhara
ho sake gar jaan-e-man, mere saath hee muskurana
paas mere aana, banakar koi bahana
kuch aisa karna ki hum gava de dil hamara

hum seekhna chahte hain, tumhare saath hee sapne sajana
kaash! tumhare bina ek din bhi ho na gavara
thamna chaahte hain hum, bas haath tumhara
jaan lo tum humein, phir humein hee hamesha bulana

Saturday, February 22, 2003

dil na chahte hue bhi tumse pyaar karta hai

hum tumko nahi jaante, humko pata hai
tum humko nahi jaante, doston ko pata hai
hum ek-duje ko nahi jaante, sabko pata hai
bas ek ye dil hee hai jo...
sabkuch jaante hue bhi anjaan banta hai
na jaan-pehchaan ke bhi deedar karta hai
shayad ye na chahte hue bhi tumse pyaar karta hai

Tuesday, February 18, 2003

tumhari kasam

Tumhari kasam, tumhare hain hum
tum mile nahi, to mar jaayenge hum
tumhee ko sanam, kehte hain balam
agar mil jaao to, jee uthenge hum

Saturday, February 15, 2003

mujhe to bas itna pata hai...

mujhe nahi pata kyun
mujhe to bas itna pata hai...
apne aap hee ho gaya
bin bataye ho gaya

mujhe nahi pata kaise
mujhe to bas itna pata hai...
uski baatoin se ho gaya
khatoin to padhke ho gaya

mujhe nahi pata kahan
mujhe to bas itna pata hai...
kahin kho gaya
shayad uska ho gaya

mujhe nahi pata kab
mujhe to bas itna pata hai...
haan, vo mujhe milega
ek din ye dil khilega

Thursday, February 13, 2003

Tumhare Hain Hum!

tumko jaante nahi, par chaahte hain hum
din bhar khojte nahi, par sochte hain hum
tumhare dil mein rehte nahi, tumhare hain hum
tumko shayad paayene nahi par apnayenge hum

jeevan mein shayad kabhi na mil paao, bas bichad jaaoge tum
shayad humare na ban paao, par muskuraoge tum
raat andheri hogi, phir-bhi jhilmilaoge tum
humein aur koi nahi, bas yaad aaoge tum

Friday, February 07, 2003

a couple of poems

Teri surat na dekhu…
To dil dhoonta rehta hai
Ek baar tujhe dekhlun
To dil khoya rehta hai
Ishq hum nahi karenge
Samjhate hain dil ko
Par tujhe dekhkar hee
Chain milta hai isko

*****************************************

Dekhkar tumko, hum
kaheen kho jaate hain
jo nahi paas humare…
usko apne paas paate hain
aankon mein dekhkar tumhari
sapno mein dub jaate hain
aate-jaate, haste-gaate, tumhe hee
khayalo mein paate hain.

*****************************************

Ghan-ghor badal chaye, aur
Tera chehra chamkane laga
Jaise hee tum dikhe
Ye dil dhadakne laga
Dillagi hum bas,
Tumse karne lage
Tumne chua tak nahi
Par hum marne lage

*****************************************

Tumko dekhkar…
ho jaata hai nasha
Na dekhu ta lagta hai,
mil rahi hai saza
Tum jab dekhte ho,
to aata hai bahut maza
Nahi dekhte kabhi, to
lagta hai rab hai khafa

*****************************************

Sunday, February 02, 2003

kuch ho gaya

tumko dekhkar kuch kuch ho gaya
aye mere sanam mera to bahut kuch kho gaya
jaane-anjaane mein...tumse pyaar ho gaya
aankhon hee ankhon mein ikraar ho gaya
tumhari aankhen meri aankon se takraayi
baat to kuch nahi hui...par main thoda sharmayi
dekhkar tumko kuch kah nahi paayi
par man hee man main muskaraayi

Thursday, January 09, 2003

khubsoorat si hawa chal jaati hai...

khubsoorat si hawa chal jaati hai...
jab teri surat saamne aati hai
ye aankhein khud-b-khud jhuk jaati hain...
jab teri aankhein meri aankhoin se takraati hain

Monday, January 06, 2003

Ishq ka talluk!

maine tujhko dekha, aur dekhti reh gayi
jaane ke baad tere, tujhko sochti hee rahi
kya ho gaya mujhko, mujhko pata nahi
ishq ka shayad hai isse, koi talluk kahin
tu bhi mujhko dekhle, aye hum-nasheen
phir soch lena mujhko, tu bhi kabhi-kabhi

tumhare ho gaye

dekha tumko jabse, deewane ho gaye
jaana tumko jabse, tumhare ho gaye

Wednesday, January 01, 2003

Ishq ke maare

aye dil bekaraar karne vaale
sunle baat humari pyaare
hum bhi gaye the ishq ke dware
ab hum ban gaye ishq ke maare
ishq ishq karte the hum
kissi ko kehte the apna sanam
ek pal mein sabkuch ho gaya khatam
nahi rahe vo humare balam
hum bhi gaye the ishq ke dware
ab hum ban gaye ishq ke maare
jo the kabhi jaan se pyaare
ab vo nahi rahe humare
hum bhi gaye the ishq ke dware
ab hum hain ishq se haare
ishq se koi dushmani nahi
phir bhi ban gaye ishq ke maare