Friday, December 26, 2003

dil se keh nahi paate

kis kis ko nahi bataya... koi bhi nahi samajh paya hai
jisne humse dil lagaya... kyun humne use thukraya hai
gale to hum bhi laga lete... apne us deewane ko
par kabhi dil se keh nahi paate "janam tum humare ho"

Thursday, December 25, 2003

diwani ki kahani

har ajnabi chehre mein uski jhalak dikhayi deti hai
chalti hai deewani jab, to nazar jhukaye rehti hai
dikh jaata hai vo kahin to dhadkan kyun ruk jaati hai
chalte chalte jaise koi dor si khich jaati hai

paani ki lehron mein bhi jannat dikhayi deti hai
chalti hai deewani jab to nazar jhukaye rehti hai
aankhen gar mil jaayen to din poora ho jaata hai
nazarein phir jhuk jaati hain, pagal mann kho jaata hai

barkha ki pehli boonde jab dharti par pad jaati hain
is pagli deewani ko phir yaad usi ki aati hai
nazrein phir jhuk jaati hain, pagal mann kho jaata hai
muskurahat ka lamha phir se wapas aata hai

aasman jhilmilata hai, raat jab bhi aati hai
ye pagli taaro se uska chehra banati hai
raat bhi dhal jaati hai, suraj chadh aata hai
is tarah deewani ka poora din kat jaata hai

Tuesday, December 23, 2003

aur kuch ho na ho

tum jab mujhse pyari pyari batein karte ho
aankhon mein dekh kar jab aahein bharte ho
halka sa muskurate ho, baalo ko sehlate ho
paas aakar jab bhi mere hotho ko chukar jaate ho

meri saanse mahak jaati hai
hawa mein masti chaati hai
aur kuch ho na ho
meri dhadkan gana gaati hai

jab bhi apne hathon se tum mere haath chu jaate ho
jaanpooch kar apna kandha jab mere se takrate ho
jab bhi meri aankho se ye reshmi baal hataate ho
phir tum apni baahon mein jab mujhko lehrate ho

mera chehra khil jaata hai
masti ka sama chhata hai
aur kuch ho na ho
mera dil gungunata hai

Thursday, December 11, 2003

tujhko main bhoolungi kaise?

main kitni bhi koshish karoon, koi madad nahi karta
tujhko main bhoolungi kaise? rab bhi yahi hai kehta
kabhi-kabhi lagta hai jaise, maksad ho gaya ho poora
phir kuch dikh jaata hai aisa, bhavishya lagta hai adhoora

kal ki hi baat le lijiye, hum sabkuch bhula kar baithe the
bahut achhi tabiyat thi apni, mat poochiye hum kaise the
jaane kahan se udte-udte ek chitthi aa gayi saamne
kisi zamane mein likhi thi vo humne naam aapke!

achi khaasi aankhon mein bekaar hi paani aa gaya
khilkhilata chehra mera ekdam se murjha gaya
main kitni bhi koshish karoon, koi madad nahi karta
tujhko main bhoolungi kaise? rab bhi yahi hai kehta