Monday, December 30, 2002

vo pyar kahan gaya?

main khud nahi jaanti aisa kyun hua,
to tumhe kaise bata doon??
main khud nahi jaanti vo pyaar kahan gaya,
to tumhe kaise bata doon??
Haan, tu mera pyaar tha kabhi
par ab vo pyaar kahan gaya??
kuch dino pehle jo ikraar hua tha
uska arth (meaning) kahan gaya??
jaanti hoon, maine hee kaha tha pyaar hai
phir ab kyun vo pyaar, pyaar nahi raha??
jaanti hoon maine hee ikraar kiya tha...
phir ab kyun...
ban-na chahti thi main teri
hamesha...hamesha ke liye
bas ek yahi thi arzoo meri,
jeena chahti thi main tere liye
ab to himmat bhi nahi hoti baat karne ki
lagta hai aankhen nahi mila paayenge hum
jab aayegi baat, baat karne ki
kya kahoongi main tumhe,
jab tum kahoge "I LOVE YOU"
de nahi paaungi vo dukh...
jo kuch dino se khud jhel rahi hoon.

Saturday, December 28, 2002

Chehra

raatoin ko dikhayi deta hai ek chehra,
aesa lagta hai vo hone waala ho mera.
pehle kabhi usse dekha nahi...
par lagta hai ye hai vahi
jisse hum karenge pyaar
kehlaye jaayenge hum uske yaar

jaane kab hogi mulakaat
hum kar rahe yahan intezaar
intezaar us ghadi ki
jab nazrein mujhpe padengi uski
woh dekhega mera chehra
aur bas ho jaayega mera

Tuesday, December 24, 2002

jab jana hi tha to...

tum meri zindagi mein laye...pyaar
par khud chale gaye
ab yahan nahi...dil-kash-bahaar
kyunki tum chale gaye
Aree! jaana hee tha to aaye kyun,
aaye to pyaar laaye kyun?
kyun aisa jaadu chalaya
ki maine apna dil gawaya
tujhko apne paas bulaya
kadmo ko aage badhaya
Aree! jaana hee tha to bataaya kyun nahi,
bataate to hum ishq karte nahi
tumko hee sochte rehte the,
tumko hee maangte rehte the,
hum to raat-din, subah-shaam
tumko hee sochte rehte the.
Aree! jaana hee tha to jaan-pehchaan kyun badhai,
apne bechain dil ki baatein kyun batayi?
Jab pata chala tumko bhi hai pyaar,
hum to khushi ke maare mar gaye yaar.
sapne dekhne lage anginat, anmol
jab khushiya mili itni hazaar.
Aree! jab jaana hee tha to khush kyun kiya,
tumne mujhko apna dil kyun diya???????????

Tuesday, December 17, 2002

d-u-r-i...Duri!!

dharti aur aakash, paani aur aag
dur hain kitne pata chala hai aaj
teri-meri duri bhi kuch aisi hee hai
suraj aur chand ke jaisi sii hai.

Saturday, December 14, 2002

Aakhir Kab???

tumne meri aankhen churaai, dil ko kab churaoge?
tumne meri neende bhagaai, apna kab banaoge?
apni haseen surat ke, paas kab bulaoge?
apne haatho se, mera haath kab milaoge?
apne dil ki dor, akhir kab chodoge?
humare beech ki duri, tum kab todoge?
mujhe dekhne ke liye, apna muh kab modoge?
mere dil se apna dil, akhir kab jodoge?

Tuesday, December 10, 2002

ye nazarein

jab dekhna chahte hain tumhe...
to nazrein uth nahi paati...
jab kehte hain nahi dekhenge tumhe...
to nazrein tumhee par hain tik jaati

main bewafa

Shayad maine tumko,
Anjaane mein dhoka diya…
Khud hee bujhaya,
Apne dil ka diya.
Zindagi mein apni…
laake tumhe,
Dur bhi bahut jaldi…
Kar diya.
Bewafa nahi,
Kamzor hain hum…
Par tumhare liye
Bewafa hain hum.
Wafa karna chahte the,
Kasam se…
Phir jaane kaise,
Ye ho gaya.
Jo yahan hua,
Hua tumhare saath nahi,
Kyun tumhare saath…
Ye hua nahi.
Main bewafa hoon…
Apni nazron mein.
Tu kyun karta mujhse,
Nafrat nahi?
Nafrat karlo humse,
Kahein kaise.
Jee nahi payenge…
varna hum aise.
Humko tumse nafrat nahi,
Par kaise kahen pyaar bhi nahi…
Isliye kehte hain tum karlo…
Humse nafrat aaj aur abhi.

Monday, December 09, 2002

pahle aur ab...

pahle jab baat karte the,
to kehte the...
Humari zindagi...
Humari-tum aur main ek saath.
Ab baat karte hain,
to kehte hain...
Meri zindagi, teri zindagi...
ek pal mein sabkuch kho gaya.
Humari zindagi se...
ab sabkuch tera mera ho gaya.
ek jhatke mein...dur chale gaye
apne se...ajnabi ban gaye.

Saturday, December 07, 2002

kehan...sun-na

humne jo tumse kaha,
tumne to sunkar bhi na suna
ja tumne aaj tak kaha nahi...
vo humne kab ka sun liya.

Friday, December 06, 2002

Zindagi aur Maut

Zindagi aur Maut par pehli baar kuch combined likha hai. hope u all
will like it. If not everybody, I hope somebody will :)

THIS IS THE FIRST ONE...

kyun aate hain log,
aur phir chale jaate hain.
phalate hain khushiya,
aur phir gham de jaate hain.
hum bhi ek din chale jaayenge,
bas apni yaadein peeche chod jaayenge.
yaad karenge log humein,
aur phir bhool jaayenge.
kuch yaad aane par,
phir se aansu bahayenge.

AND THE SECOND ONE...

maut se kaun bach paya hai aajtak,
zindagi se kaun muh mod paya hai aajtak.
maut se pehle zindagi jeeni hee padti hai,
zindagi ke baad maut ki ghoonth peeni hee padti hai.

dil ki kahani

is dil ki kahaani,
hai badi niraali...
kabhi aankhon mein khushi,
to kabhi hai paani.

i don't know why...

i don't know why,
mujhe pata nahi kyun,
par hota hai dard,
jab bhi tujhko sochti hoon.
dil mein tha-hai tu,
saanso mein bhi tu.
phir bhi tujhse dur,
main jaana chahti hoon.

Oooo sanam

dil kehta hai gale lagaun
tujhko main apna banaun
pyaar-pyaar bas karte jaaun
Oooo sanam.

paas khud ko tere laaun
tujhko apni manzil banau
ghadi-ghadi pyaar barsaun
Oooo sanam.

tujhko main nakhre dikhaun
baat-baat par main tarsaun
hansi-mazak bas karte jaaun
Oooo sanam.

sapne ko bhi sach banaun
ek-na-ek din tujhko paaun
zindagi ko khushhaal banaun
Oooo sanam.

tere saath hee rehna chahun
ab main kya tujhko bataun
bas main tere paas aa jaun
Oooo sanam.

Wednesday, November 27, 2002

Shayad...

Shayad jo hai dil mein, vo nahi hai.
Jo lagta hai, hai nahi, shayad vahi hai.

Tuesday, November 26, 2002

Anjaan

Pehle kehte the,
Mat dikho tum hamein.
Ab kehte hain,
Dikho aur dekho tum hamein.
Pehle anjaan the,
Abhi bhi anjaan hain,
Par banana chahte,
Hum tumhari jaan hain
Tumne to humein ghayal kar hee diya,
Ab marham laga to hum par.
Humne to tumse ishq kar hee liya,
Ab tum dil apna la do hum par.
Tum karo ya na karo,
Hum to ishq karenge.
Tum apna manlo humein,
Hamesha ye dua karenge.

yaad

yaad karne ki koshish nahi kar rahe,
khud hee yaad aa jaate ho.
Bhulane ki koshish mein,
aur paas aa jaate ho.

Tuesday, November 19, 2002

Jabse dekha...

Jabse maine tujhko dekha,
Dil rehta hai khoya koya.
Kya hogaya,
Pata nahi mujhko.
Itna pata hai,
Pyaar nahi ye.
Jab bhi dekhti hoon main tujhko,
Dil dhadkata hai jaldi-jaldi.
Kyun hota hai aisa, pata nahi.
Kya tum mein hai koi baat badi?
Pyaar hum karna chahte nahi,
Par dil ko bhi rokna chahte nahi.
Kya ho raha,
Koi to bata de.
Dil kya mera kho raha hai?
Kaash aisa na ho.
Dil apna kahin na kho.
Aapko to pata hai kyun. Kyunkiii…
Hum kissi ka dil nahi todna chahte,
Isliye kissi se dil nahi jodna chahte.
Hum apna dil toot-ta nahi dekh sakte,
Isliye apna dil jud-ta nahi dekh sakte.
Kaash ye keval ek "crush" ho,
Usse zyada kuch nahi,
Bada kuch nahi, chota kuch nahi.
Aur yaar plzzz to mujhe roz dikh bhi nahi.

Thursday, November 14, 2002

Issi ka naam hai Zindagi

Issi ka naam hai Zindagi,
Ghamo ka jaam hai Zindagi.
Ek haseen mulakat hai Zindagi,
Khwaabon mein kati raat hai Zindagi.

Yaadoin ki baarat hai Zindagi,
Tanhayi ki raat hai Zindagi.
Khushiya bhari shaam hai Zindagi,
Issi ka naam hai Zindagi.

Issi ka naam hai Zindagi,
Ek meetha paan hai Zindagi.
Muskurahat ka naam hai Zindagi,
Ghamo ka pahaad hai Zindagi.

Kushi hai Zindagi,
Dillagi hai Zindagi.
Jisko aap samajhte hai Zindagi,
Wohi hai Zindagi.

Bataya nahi jaa sakta,
Kya hai zindagi.
Hum to yahi kahenge,
Ek haseen safar hai Zindagi.

Jilo, jilo...hanske jilo...
Sabko hee khushiya de-do.
Do din ki hai Zindagi, hanslo aur hansa lo.
Teesre dil chale jaaoge, tab-tak sabkuch pa-lo.

Wednesday, November 13, 2002

Yaar...Ishq...Hawa...Khoja!

Is dil mein jo hai, vo paas nahi.
Jo paas hai, vo yaar nahi.
Jo yaar hai, vo dur bada.
Jo dur hai, usi se ishq hua.

Pyaar humko ho gaya,
Dil bekaraar ho gaya.
Pehli nazar mein hee,
Teer paar ho gaya.

Teer ke paar hone pe,
Hum kho gaye thode se.
Ab to aisa lagta hai,
Hum poore hee kho gaye.

Kho gaye hawa mein nahi,
Kho gaye pyaar mein hain.
Ab ye chahte hain,
Ki hawa mein kho jaaye kahin.

Tuesday, November 12, 2002

Arz kiya hai...

Dost bin, Host bin duniya mein Fun nahi,
Yaar bin, Pyaar bin duniya mein Darr nahi.

Akelapan...

Akelapan kyun hai itna,
jahan bhi jaayen dil hai tanha.
Tanhaii se dur jana chahte hain,
Zindagi mein masti lana chahte hain.
Maut to aa jayegi ek-na-ek din,
usse pahle zindagi jeena chahte hain.

Sunday, November 03, 2002

Hum dono ko hi pyaar hai

Jisse mujhko pyaar hai, usko bhi mujhse pyaar hai.
Ab main kya batau tumko, mere dil ka kya haal hai.
Jo mere dil ka haal hai, wohi uske bhi dil ka haal hai,
Ab main kya batau tumko, mera dil kitna bekaraar hai.
Jaise mera dil bekaraar hai, vaise hee uska bhi dil bekaraar hai,
Ab main kya batau tumko, mera to bura haal hai.
Jaise mera bura haal hai, vaise hee uska bhi bura haal hai,
Ab main kya batau tumko, hum dono ko hee pyaar hai.

Hum kisi ka dil nahi todna chahte!

Hum kisi ka dil nahi todna chahte,
Isliye kisi se dil nahi jodna chahte.
Hum apna dil toot-ta nahi dekh sakte,
Isliye hum apna dil judta nahi dekh sakte.
Pyaar karne se milti hai khushi,
Jaante hai hum.
Pyaar karne se milta hai dukh bhi,
Jaante hai sab.
Haan humne hee kaha tha,
Pyaar karoge to hawa mein udogo...sach hai ye!
Ab hum hee kahte hai,
Pyaar karoge to muh ke bal zameen pe giroge...ye bhi sach hai!
Kisi ka dil toot-ta hai,
Kisi ka sab-kuch choot-ta hai.
Hamara kuch nahi toota,
Hamara kuch nahi choota.
Phir bhi aisa lagta hai, choot jayega sap-kuch.
Toot jayega sap-kuch.
Dil toot-ta hai to dard hota hai,
Aakhon mein pani bharta hai.
Dukh hota hai, dil rota hai.
Humko pata nahi ye dard kaisa hota hai,
Par sun-ne mein hee bahut dard hota hai.
Pyaar kiya hai humne, Khush-kismat hai hum.
Par jaane kyun sahi nahi lagta, Ye sab.
Usse koi shikwa nahi, nafrat hai apne aap se.
Uspar poora barrosa hai, darr hai apne aap se.
Kabhi sochte hain usko, Kabhi sochte hain khud ko.
Pyaar ka izhaar karte hain, phir jaane kyun rote hain.
Saamne vo hai mere, dil mein vo hai mere.
Aakhon mein koi aur hai, manzil meri koi aur hai.
Pata nahi kaun hai manzil,
Pata nahi kaun hai manzil.
Jaane kyun pyaar kiya, are pyaar kiya to kiya,
Jaane kyun ikraar kiya.
Dil ko bekaraar kiya, uska bhi bura haal kiya.
Khush to hai hum, par "sure" nahi.
Khush to hai hum, par "sure" nahi.
Jaane kyun aisa lagta hai, koi aur hee hai,
Koi aur hee hai, jo apna hai.
Koi aur hee hai jo mazil hai...
Koi aur hai to dil mein uske rehte hue bhi rehta hai.
Hum kisi ka dil nahi todna chahte,
Isliye kisi se dil nahi jodna chahte.
Jod liya hai jisse ye dil,
ab suska dil nahi todna chahte!

Ajeeb si baat

Kuch roz pahle yaaron ajeeb see baat ho gayi
Humko to muhabbat kisi ke sath ho gayi
Jaan-pehchaan bahut arse se thi,
Par muhabbat pahli baar ho gayi,
Haye! Ye kya baat ho gayi
Socha nahi tha kabhi ki vo banega apna
Par dekho na sach ho gaya andekha sapna.
Ab to sachhi ke sapne dekhti hoon har roz,
Paati hoon usko hee har or (jagah).
Haye! Zindagi ne liya ye kaisa mod (turn).

Hawa mein Sama...

Aaj ki hawa mein kya tha sama,
Aaj ki hawa mein tha purana maza.
Wo maza jisko,
"Miss" kiya barso.
Aaj phir saamne tha khada.
Hum kya kahe humko kya hua.
Aankhon mein aankhen dalke.
Khada tha mere saamne.
purane lamhe yaad karake...
yaadoin mein thoda "spark" lagake.
dil phir se chura le gaya...
yaar phir se yaad de gaya.

Diwali

Dekho dekho diwali aayi,
Raat ke andhere mein bhi roshni hai chayi.
Par unki chithti (letter) abhi tak nahi aayi.
Socha tha yaad karenge,
Diwali par to sath rahenge.
Par ab hum akele, kisse, kya kahenge?

Monday, October 14, 2002

Arz kiya hai...

Karte hai jo pyaar darte nahi vo duniyawaalo se...
Karte hai jo pyaar darte nahi vo duniyawaalo se...
Chaahe kitni hee dhamkiyaan mil jaaye unko apne gharwaalon se.

Saturday, October 05, 2002

Khud hi ho jata hai...

Ishq to khud hee ho jaata hai…
Dil bhi apna kho jaata hai…
Jab aisa ho jaata hai…
To dil bekaraar ho jaata hai.

Kyun hota hain humko pyaar…
Mujhko nahi pata yaar.
Itna zaroor pata hai mujhko…
Ek din ye bhi hoga tumko.

Jab hoga tumko pyaar…
Hawa mein udoge tum bhi yaar…
Khush rahoge hardam tum…
Pyaar karoge pyaar se tum.

Aaj tumne jisko dekha hai…
Shayad who hee tumhara apna hai…
Abhi chalega pata nahi…
Intezaar mein rahna har ghadi.

Pata nahi kyun...

Humein hota hai pyaar…
Aur ye dil bekaraar…
Magar aisa kyun hota…
Pata nahi mere yaar.
Jab milte nahi…
Baat karte nahi…
To kyun aisa lagta hai…
Maksad pura hua nahi.
Kuch karte nahi hum…
Bas sapne dekhte hain hum…
Kyun aisa hota hai…
Bata mere sanam.
Yaad aati hai bahut…
Jaan jaati hai bahut…
Magar mil nahi hum paate…
Yeh achcha nahi bahut.
Humein hota hai pyaar…
Aur ye dil bekaraar…
Magar aisa kyun hota…
Pata nahi mere yaar.

Monday, July 29, 2002

Yaadein...Baatein...

nagmein hain, shikve hain, kisse hain, baatein hain.
baatein bhool jaati hai, yaadein yaad aati hain.
ye yaadein mere yahan aane ke baad,
kuch zyada hee aati hai.
mein bhool gayi thi inko,
samajh ke roz ki baatein.
par ye aa gayi mere peeche-peeche,
banke humari yaadein.
mujhko ye maloon na tha,
baatein hee ban jaati hai yaadein.
par kissi ko kya pata,
kya hoga chalke aage.
mujhko bhi pata na tha,
ki ek aisa din aayega,
jab mujhko tum sabse,
dur jana padega.
aata hai ye din,
zindagi mein sabki,
par kya tumko nahi lagta,
meri mein aa gaya ye thoda jaldi.
ab mere liye wahi hain yaadein,
jo shayad tumhare liye keval hain baatein.
tumhare liye woh banengi yaadein,
jo shayad hum kabhi na janein.

Mohabbat

hum tumse mohabbat karna nahi chahte the, par tumne kar li,
hum tumhara dil todna nahi chahte the, isliye humne kar li.
humne rakha tumhare dil ka khayal, tum bhi rakhna khayal humare dil ka,
humne kar liya hai tumse pyaar, tum bhi humse pyaar karna.

Friday, July 26, 2002

Dil se nikla dard...

Dil se nikla dard…
Yeh zindagi nahi, ajeeb si saza hai yeh.
Jahan na jee sakti, na mar sakti hoon main.
Is zindagi ne kya diya mujhe?
Jab samay aaya, tab dukh diya mujhe.
Aur kuch nahi chahti is zindagi se,
Bas sukh chakti hoon is zindagi se.
Door le ja tu yeh gham,
Kahi door le ja tu ye gham.
Khushiya phela de yahan,
Bahar la de tu yahan.
Isko shayiri, ya kavita na samajhna,
Yeh hai mere dil se nikli, isko meri arzoo samajhna.