Sunday, November 03, 2002

Hum kisi ka dil nahi todna chahte!

Hum kisi ka dil nahi todna chahte,
Isliye kisi se dil nahi jodna chahte.
Hum apna dil toot-ta nahi dekh sakte,
Isliye hum apna dil judta nahi dekh sakte.
Pyaar karne se milti hai khushi,
Jaante hai hum.
Pyaar karne se milta hai dukh bhi,
Jaante hai sab.
Haan humne hee kaha tha,
Pyaar karoge to hawa mein udogo...sach hai ye!
Ab hum hee kahte hai,
Pyaar karoge to muh ke bal zameen pe giroge...ye bhi sach hai!
Kisi ka dil toot-ta hai,
Kisi ka sab-kuch choot-ta hai.
Hamara kuch nahi toota,
Hamara kuch nahi choota.
Phir bhi aisa lagta hai, choot jayega sap-kuch.
Toot jayega sap-kuch.
Dil toot-ta hai to dard hota hai,
Aakhon mein pani bharta hai.
Dukh hota hai, dil rota hai.
Humko pata nahi ye dard kaisa hota hai,
Par sun-ne mein hee bahut dard hota hai.
Pyaar kiya hai humne, Khush-kismat hai hum.
Par jaane kyun sahi nahi lagta, Ye sab.
Usse koi shikwa nahi, nafrat hai apne aap se.
Uspar poora barrosa hai, darr hai apne aap se.
Kabhi sochte hain usko, Kabhi sochte hain khud ko.
Pyaar ka izhaar karte hain, phir jaane kyun rote hain.
Saamne vo hai mere, dil mein vo hai mere.
Aakhon mein koi aur hai, manzil meri koi aur hai.
Pata nahi kaun hai manzil,
Pata nahi kaun hai manzil.
Jaane kyun pyaar kiya, are pyaar kiya to kiya,
Jaane kyun ikraar kiya.
Dil ko bekaraar kiya, uska bhi bura haal kiya.
Khush to hai hum, par "sure" nahi.
Khush to hai hum, par "sure" nahi.
Jaane kyun aisa lagta hai, koi aur hee hai,
Koi aur hee hai, jo apna hai.
Koi aur hee hai jo mazil hai...
Koi aur hai to dil mein uske rehte hue bhi rehta hai.
Hum kisi ka dil nahi todna chahte,
Isliye kisi se dil nahi jodna chahte.
Jod liya hai jisse ye dil,
ab suska dil nahi todna chahte!

No comments: