Wednesday, November 27, 2002

Shayad...

Shayad jo hai dil mein, vo nahi hai.
Jo lagta hai, hai nahi, shayad vahi hai.

Tuesday, November 26, 2002

Anjaan

Pehle kehte the,
Mat dikho tum hamein.
Ab kehte hain,
Dikho aur dekho tum hamein.
Pehle anjaan the,
Abhi bhi anjaan hain,
Par banana chahte,
Hum tumhari jaan hain
Tumne to humein ghayal kar hee diya,
Ab marham laga to hum par.
Humne to tumse ishq kar hee liya,
Ab tum dil apna la do hum par.
Tum karo ya na karo,
Hum to ishq karenge.
Tum apna manlo humein,
Hamesha ye dua karenge.

yaad

yaad karne ki koshish nahi kar rahe,
khud hee yaad aa jaate ho.
Bhulane ki koshish mein,
aur paas aa jaate ho.

Tuesday, November 19, 2002

Jabse dekha...

Jabse maine tujhko dekha,
Dil rehta hai khoya koya.
Kya hogaya,
Pata nahi mujhko.
Itna pata hai,
Pyaar nahi ye.
Jab bhi dekhti hoon main tujhko,
Dil dhadkata hai jaldi-jaldi.
Kyun hota hai aisa, pata nahi.
Kya tum mein hai koi baat badi?
Pyaar hum karna chahte nahi,
Par dil ko bhi rokna chahte nahi.
Kya ho raha,
Koi to bata de.
Dil kya mera kho raha hai?
Kaash aisa na ho.
Dil apna kahin na kho.
Aapko to pata hai kyun. Kyunkiii…
Hum kissi ka dil nahi todna chahte,
Isliye kissi se dil nahi jodna chahte.
Hum apna dil toot-ta nahi dekh sakte,
Isliye apna dil jud-ta nahi dekh sakte.
Kaash ye keval ek "crush" ho,
Usse zyada kuch nahi,
Bada kuch nahi, chota kuch nahi.
Aur yaar plzzz to mujhe roz dikh bhi nahi.

Thursday, November 14, 2002

Issi ka naam hai Zindagi

Issi ka naam hai Zindagi,
Ghamo ka jaam hai Zindagi.
Ek haseen mulakat hai Zindagi,
Khwaabon mein kati raat hai Zindagi.

Yaadoin ki baarat hai Zindagi,
Tanhayi ki raat hai Zindagi.
Khushiya bhari shaam hai Zindagi,
Issi ka naam hai Zindagi.

Issi ka naam hai Zindagi,
Ek meetha paan hai Zindagi.
Muskurahat ka naam hai Zindagi,
Ghamo ka pahaad hai Zindagi.

Kushi hai Zindagi,
Dillagi hai Zindagi.
Jisko aap samajhte hai Zindagi,
Wohi hai Zindagi.

Bataya nahi jaa sakta,
Kya hai zindagi.
Hum to yahi kahenge,
Ek haseen safar hai Zindagi.

Jilo, jilo...hanske jilo...
Sabko hee khushiya de-do.
Do din ki hai Zindagi, hanslo aur hansa lo.
Teesre dil chale jaaoge, tab-tak sabkuch pa-lo.

Wednesday, November 13, 2002

Yaar...Ishq...Hawa...Khoja!

Is dil mein jo hai, vo paas nahi.
Jo paas hai, vo yaar nahi.
Jo yaar hai, vo dur bada.
Jo dur hai, usi se ishq hua.

Pyaar humko ho gaya,
Dil bekaraar ho gaya.
Pehli nazar mein hee,
Teer paar ho gaya.

Teer ke paar hone pe,
Hum kho gaye thode se.
Ab to aisa lagta hai,
Hum poore hee kho gaye.

Kho gaye hawa mein nahi,
Kho gaye pyaar mein hain.
Ab ye chahte hain,
Ki hawa mein kho jaaye kahin.

Tuesday, November 12, 2002

Arz kiya hai...

Dost bin, Host bin duniya mein Fun nahi,
Yaar bin, Pyaar bin duniya mein Darr nahi.

Akelapan...

Akelapan kyun hai itna,
jahan bhi jaayen dil hai tanha.
Tanhaii se dur jana chahte hain,
Zindagi mein masti lana chahte hain.
Maut to aa jayegi ek-na-ek din,
usse pahle zindagi jeena chahte hain.

Sunday, November 03, 2002

Hum dono ko hi pyaar hai

Jisse mujhko pyaar hai, usko bhi mujhse pyaar hai.
Ab main kya batau tumko, mere dil ka kya haal hai.
Jo mere dil ka haal hai, wohi uske bhi dil ka haal hai,
Ab main kya batau tumko, mera dil kitna bekaraar hai.
Jaise mera dil bekaraar hai, vaise hee uska bhi dil bekaraar hai,
Ab main kya batau tumko, mera to bura haal hai.
Jaise mera bura haal hai, vaise hee uska bhi bura haal hai,
Ab main kya batau tumko, hum dono ko hee pyaar hai.

Hum kisi ka dil nahi todna chahte!

Hum kisi ka dil nahi todna chahte,
Isliye kisi se dil nahi jodna chahte.
Hum apna dil toot-ta nahi dekh sakte,
Isliye hum apna dil judta nahi dekh sakte.
Pyaar karne se milti hai khushi,
Jaante hai hum.
Pyaar karne se milta hai dukh bhi,
Jaante hai sab.
Haan humne hee kaha tha,
Pyaar karoge to hawa mein udogo...sach hai ye!
Ab hum hee kahte hai,
Pyaar karoge to muh ke bal zameen pe giroge...ye bhi sach hai!
Kisi ka dil toot-ta hai,
Kisi ka sab-kuch choot-ta hai.
Hamara kuch nahi toota,
Hamara kuch nahi choota.
Phir bhi aisa lagta hai, choot jayega sap-kuch.
Toot jayega sap-kuch.
Dil toot-ta hai to dard hota hai,
Aakhon mein pani bharta hai.
Dukh hota hai, dil rota hai.
Humko pata nahi ye dard kaisa hota hai,
Par sun-ne mein hee bahut dard hota hai.
Pyaar kiya hai humne, Khush-kismat hai hum.
Par jaane kyun sahi nahi lagta, Ye sab.
Usse koi shikwa nahi, nafrat hai apne aap se.
Uspar poora barrosa hai, darr hai apne aap se.
Kabhi sochte hain usko, Kabhi sochte hain khud ko.
Pyaar ka izhaar karte hain, phir jaane kyun rote hain.
Saamne vo hai mere, dil mein vo hai mere.
Aakhon mein koi aur hai, manzil meri koi aur hai.
Pata nahi kaun hai manzil,
Pata nahi kaun hai manzil.
Jaane kyun pyaar kiya, are pyaar kiya to kiya,
Jaane kyun ikraar kiya.
Dil ko bekaraar kiya, uska bhi bura haal kiya.
Khush to hai hum, par "sure" nahi.
Khush to hai hum, par "sure" nahi.
Jaane kyun aisa lagta hai, koi aur hee hai,
Koi aur hee hai, jo apna hai.
Koi aur hee hai jo mazil hai...
Koi aur hai to dil mein uske rehte hue bhi rehta hai.
Hum kisi ka dil nahi todna chahte,
Isliye kisi se dil nahi jodna chahte.
Jod liya hai jisse ye dil,
ab suska dil nahi todna chahte!

Ajeeb si baat

Kuch roz pahle yaaron ajeeb see baat ho gayi
Humko to muhabbat kisi ke sath ho gayi
Jaan-pehchaan bahut arse se thi,
Par muhabbat pahli baar ho gayi,
Haye! Ye kya baat ho gayi
Socha nahi tha kabhi ki vo banega apna
Par dekho na sach ho gaya andekha sapna.
Ab to sachhi ke sapne dekhti hoon har roz,
Paati hoon usko hee har or (jagah).
Haye! Zindagi ne liya ye kaisa mod (turn).

Hawa mein Sama...

Aaj ki hawa mein kya tha sama,
Aaj ki hawa mein tha purana maza.
Wo maza jisko,
"Miss" kiya barso.
Aaj phir saamne tha khada.
Hum kya kahe humko kya hua.
Aankhon mein aankhen dalke.
Khada tha mere saamne.
purane lamhe yaad karake...
yaadoin mein thoda "spark" lagake.
dil phir se chura le gaya...
yaar phir se yaad de gaya.

Diwali

Dekho dekho diwali aayi,
Raat ke andhere mein bhi roshni hai chayi.
Par unki chithti (letter) abhi tak nahi aayi.
Socha tha yaad karenge,
Diwali par to sath rahenge.
Par ab hum akele, kisse, kya kahenge?