main kitni bhi koshish karoon, koi madad nahi karta
tujhko main bhoolungi kaise? rab bhi yahi hai kehta
kabhi-kabhi lagta hai jaise, maksad ho gaya ho poora
phir kuch dikh jaata hai aisa, bhavishya lagta hai adhoora
kal ki hi baat le lijiye, hum sabkuch bhula kar baithe the
bahut achhi tabiyat thi apni, mat poochiye hum kaise the
jaane kahan se udte-udte ek chitthi aa gayi saamne
kisi zamane mein likhi thi vo humne naam aapke!
achi khaasi aankhon mein bekaar hi paani aa gaya
khilkhilata chehra mera ekdam se murjha gaya
main kitni bhi koshish karoon, koi madad nahi karta
tujhko main bhoolungi kaise? rab bhi yahi hai kehta
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
3 comments:
You write beautifully.. have been reading it entire day.. already in love with you...:)
Dear kishhoo
Tum jo kuch bhi likhti ho
Sach hai ki bhavnatmak hai aur prem se pariporna hai parantu phir bhi ek aalochak ka kaam karna main nahi bhoolonga.
Mithya prashansa tumhe bhatka rahi hai.
Likho to aisa ki kalam khud kahe ki main jee uthi naki ye ki mujhe ekant chahiye.
Main tumhare saahityik bhavishya ke prabal aur sukhmaya hone ko lekar nishchint hu aur kaamna karta hu ki maa vaani tumhe shabdaashirwaad de
par fir bhi jo bhi likho saargarbhit likho.
Shubhechhuk
yuvakavi Shreyaskar(tumara bada bhai )
@Vish.. Thank you!
@Mikku.. Likho to aisa ki kalam khud kahe ki main jee uthi naki ye ki mujhe ekant chahiye.
:) If and when I start writing again, will remember that!
Post a Comment