zyada kuch nahi hota, bas yaad hi satati hai
kisi ke kho jaane par, aankh bhi bhar aati hai
waqt ka sahara ho to saare zakhm bhar jaate hain
dheere-dheere bichade apne, thode hi yaad aate hain
jeena mushkil ho jinke bina, vo bhulaye bhi ja sakte hain
ye to samay samay ka khel hai, tut-te to kai saare sapne hain
chalte chalte koi bichhade to kuch ashru baha hi diya karte hain
zindagi ka safar hi kuch aisa hai, log akar chale jaya karte hain
Sunday, August 15, 2004
Friday, August 13, 2004
Wednesday, August 11, 2004
ek vinti
bin bulaye hi aa jate ho
jitna bhulana chaahe, utna hi yaad aa jate ho
kabhi hum apne raste ja rahe ho, to samne se aa jate ho
sir jhuka kar kaam kare, to darwaze se aa jate ho
raste hain apne alag alag, phir bhi tum yaad aa jate ho
ek duje ke hum koi nahi, phir bhi paas aa jate ho
ab to bas yahi ek vinti hai ki bhulane ki shakti de bhagwan
ab to bas yahi ek vinti hai phir na kabhi dikhe vo insaan

Sunday, August 01, 2004
thak gaye hum
arsa ho gaya, kisi ka pyaar mehsus kiye
varsh beet gaye kisi se pyar kiye
tanhaii mein... pani mein...
thak gaye hum, intezaar mein vishram kiye
varsh beet gaye kisi se pyar kiye
tanhaii mein... pani mein...
thak gaye hum, intezaar mein vishram kiye
Subscribe to:
Posts (Atom)