Wednesday, April 20, 2005

tajurbe ki pyaas

zindagi ek samundar, samundar mein machhli
machhli ka jahan hai chhota sa vyaas (diameter)
lahro ke dhakko se bacha liya gaya
aur anubhav/tajurba ban gaya un-bujhi pyaas

Tuesday, April 12, 2005

do premi

patle aur tang raste, raston mein sang chalna
takraate badano se mann ka machalna
baaho ki ragad, haatho ki jakad
halki si muskurahat, palko mein paro ki fadfadahat

ansu to tapke, par dharti pyasi reh gayi
nami unki hatheli hi sah gayi
kankad-pathhar bhi sthirr reh gaye
ye kandhe jo unke kadam sambhaal chale

khula samundar, lahro ki takraar
barfili chotiya, hawaii toofaan
bhayankar jungle, aur pashuo ki chaal
amar bane premiyo se hokar/khaakar maat