Thursday, November 17, 2005

tu hi tu

har chehre mein tera hai chehra
har khushbu mein teri mahak hai
mujhko bahakna tune seekhaya
sambhlunga main, ye tera vaham hai

chaand

yuhi aasman mein rehna sada
chaand pyare, tu kabhi na doobna
raat ke andhere ko sameta tune
din mein bhi apni ek pehchaan bana

Sunday, November 06, 2005

akela raahi

jis vyakti ko sara jahaan jaanta tha kabhi
aaj vo ajnabi ban rah gaya
jisko kabhi kisi vastu ki kami na hui
aaj vohi apni saanse bhi gin-ne laga

sannate aur ghutan se bhar gayi kutiya
ek khaufnaak haveli ban gayi...
rang birangi deewarein kis kaaran phiki pad gayi

melo se bhari duniya mein khamoshi kyun chhaane lagi
vo pyar bhari, maasoom muskaan, kis mod par kho gayi

hawa ka bahaav ruk sa raha hai...
samay bhi aage nahi badh raha
badlo ne tairna chhodkar barkha ko bhi rok liya

in raaho par akele chal, dhoop bhi satati hai
paseena bahay, pyaas badhay, aur dil ko bhi jalati hai

Saturday, November 05, 2005

sawalo mein doobi aatma, dutkaro mein pali pehchaan

jab bhi koi avsar aaye, krodh ka para badhta jaaye
pichli baaton ki chhaw mein, kadvi baatein bak di jaaye
kamzor, bewafa, aur badchalan jaise shabdo ki aadh mein
khudko bachakar, use hamesha ke liye neech sthapit kar diya jaaye

ghar ki baat pachi nahi, dhindhora peet dala
padosiyo aur rishtedaro ke saamne, use anaath karaar kar dala
logo ke dhakke aur pathharo ki thhokre le jaate kahan...
le gaye waha, jahan pahuch usne khud se naata tod dala

Sept 25, 2005 - 11:19 PM