just like all others, i spent four years on these grounds
these walls, these halls, these rooms.. know that i did!
i too attended the same classes, had the same teachers,
read the same books and heard the same silly jokes
each face was the same, voices weren't different either.
but when i come back for a visit or two...
i feel nothing, nothing that's true!
the walls and halls are exactly like before
lockers haven't changed their colors either
chairs rest at the same old places
and the boards are again covered with markers.
teachers walk the way they did
they teach and talk the same sweet thing.
a smile comes upon the faces i see
greetings and wishes run back and forth
conversations are striked and carried out
new days and experiences are told with passion
heard with eagerness and complimentented with love
everything is the way it should be...
the way it always is with everybody
yet, there's no attachment.
the passion is fake and the smiles are ordinary.
Wednesday, December 28, 2005
paise se hai duniya
vahi subah, vahi raat hai
vahi thakaan, vahi kaam hai
suraj ugega aur chaand bhi dubega
panchhi udenge aur shankh bhi gunjega
behte jharno ki raftaar bani rahegi
teertho par insaano ki tadaat jami rahegi
bacho se baDo ka sneh bhi rahega
apne dosto se sabka mel bhi rahega
vidyaarthiyo ko vahi path padhne honge
pandit log bhi vahi maala japte honge
badlega kuch nahi, rahega sab vaisa hi
nav-varsh ke avsar par, kharchega bas paisa hi
surya-uday
kaali chaadar ki aadh se satrangi roshni ubhar rahi hai
raat ke aakhari pahar se bhor ki laalima tapak rahi hai
ye rangat, ye taaza nazaara, akhiyo ko khoob lubhaye hai
yuhi baith, aakash taakne ko ye dil lalchaaye hai
surya ki chundhiyaati kirne neele gagan ko jagaa rahi hai
dharti ke sabhi praaniyo ko apne sneh-prem se utha rahi hai
Monday, December 26, 2005
i lack self
questions are yet arising again
my friends, my acquiantances, repeat themselves...
"are you coming woman?!"
i hate to say this again n again
but the bare and honest truth repeats itself...
"my life is hell! my life is hell!"
i have everything in full
be it family, friends, or a night of no rest
the one thing i lack the most, is...
"a life to self! a life for self!"
my friends, my acquiantances, repeat themselves...
"are you coming woman?!"
i hate to say this again n again
but the bare and honest truth repeats itself...
"my life is hell! my life is hell!"
i have everything in full
be it family, friends, or a night of no rest
the one thing i lack the most, is...
"a life to self! a life for self!"
Sunday, December 25, 2005
doob gaye re!
taaza taaza pehla paani dharti ko jab choome hai
laaya laaya teri yaadein, dil phir apna jhoome hai
bahaar-e-mausam gaana gaaye, hum bhi chup na baithe hain
chaahat ka phir gota lagaakar, doobe doobe rehte hain
laaya laaya teri yaadein, dil phir apna jhoome hai
bahaar-e-mausam gaana gaaye, hum bhi chup na baithe hain
chaahat ka phir gota lagaakar, doobe doobe rehte hain
Thursday, December 22, 2005
adhoori khwahishe
ye chand din jo aaye hain
phir dukh samait laaye hain
meri adhoori khwahisho ko
peet peet kar jagaaye hain
anjaane lamho se pehchaan chaahe
bichhde sapno se mulakaat chaahe
dekhi nahi jo raahe kabhi
un raahon par apne nishaan chaahe
ye chand din jo aaye hain
meri adhoori khwahisho ko
peet peet kar jagaaye hain
ugta suraj dhalta sa lage
behta paani jamta sa lage
rukta nahi hai samay kabhi
phir bhi ye jeevan, thamta sa lage
taaro se roshni jhilmilati nahi
baago mein khushbu lehraati nahi
prakrati ne khela, khel ye kaisa
saagar ki lehre gungunaati nahi
ye chand din jo aaye hain
meri adhoori khwahisho ko
peet peet kar jagaaye hain
anjaane lamho se pehchaan chaahe
bichhde sapno se mulakaat chaahe
dekhi nahi jo raahe kabhi
un raahon par apne nishaan chaahe
ye chand din jo aaye hain
phir dukh samait laaye hain
meri adhoori khwahisho ko
peet peet kar jagaaye hain
phir dukh samait laaye hain
meri adhoori khwahisho ko
peet peet kar jagaaye hain
anjaane lamho se pehchaan chaahe
bichhde sapno se mulakaat chaahe
dekhi nahi jo raahe kabhi
un raahon par apne nishaan chaahe
ye chand din jo aaye hain
meri adhoori khwahisho ko
peet peet kar jagaaye hain
ugta suraj dhalta sa lage
behta paani jamta sa lage
rukta nahi hai samay kabhi
phir bhi ye jeevan, thamta sa lage
taaro se roshni jhilmilati nahi
baago mein khushbu lehraati nahi
prakrati ne khela, khel ye kaisa
saagar ki lehre gungunaati nahi
ye chand din jo aaye hain
meri adhoori khwahisho ko
peet peet kar jagaaye hain
anjaane lamho se pehchaan chaahe
bichhde sapno se mulakaat chaahe
dekhi nahi jo raahe kabhi
un raahon par apne nishaan chaahe
ye chand din jo aaye hain
phir dukh samait laaye hain
meri adhoori khwahisho ko
peet peet kar jagaaye hain
Subscribe to:
Posts (Atom)