Wednesday, December 28, 2005
paise se hai duniya
vahi subah, vahi raat hai
vahi thakaan, vahi kaam hai
suraj ugega aur chaand bhi dubega
panchhi udenge aur shankh bhi gunjega
behte jharno ki raftaar bani rahegi
teertho par insaano ki tadaat jami rahegi
bacho se baDo ka sneh bhi rahega
apne dosto se sabka mel bhi rahega
vidyaarthiyo ko vahi path padhne honge
pandit log bhi vahi maala japte honge
badlega kuch nahi, rahega sab vaisa hi
nav-varsh ke avsar par, kharchega bas paisa hi
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
9 comments:
Saw your blog. really Cool poems. I liked your poetic sense
Nice narration yaar!
Thanks to both Shaks and Amrit.
आप काफी अच्छा लिख लेती है, लेकिन रोमन मे हिन्दी अजीब लगती है.
यदि आप अपनी कविताये देवनागरी मे लिखे तो उनकी सुन्दरता मे चार चांद लग जाये.
आशीष
Ashish... apne bilkul sahi kaha. par devnagari mein likhne mein kaafi samay lagega aur mujhmein shayad itna patience nahi.
-Geetali
मुझे भी शुरूवात मे ऐसा ही कुछ लगा था, लेकिन यदि एक बार आदत पढ जाये तो देवनागरी/रोमन दोनो मे टाईप करने की गति मे कोई अंतर नही रह जाता. आप एक बार बाराहा का प्रयोग कर के देखें.
यह एक फोनेटीक टूल है.
आशीष
abe Ashish, pain mat maar yaar. If you have enthu, type all Geetali's poems in Devanagri or whatever nagri you want to and mail it to her no. Had hi ho gayi...
hazoor! lutf aa gaya hai kavita parnay kaa bhi, sunnay ka bhi! Achcha hua aap hamaray blog par aaye, aur humein yahan pahunchnay ka raasta mila:)
@Vivek
This was partly the reason why I commented on your blog ;)
Post a Comment