Tuesday, April 04, 2006

koi uske... paas nahi

bhookh nahi, pyaas nahi
koi uske... paas nahi.
umeed nahi, jasbaat nahi
dil ko koi... aas nahi.
wahan uski, maayusi mein
roshni ka... abhaas nahi.
pheeke pade, chehre par
masti ka... andaaz nahi.
door nahi, paas nahi
kisi ke bhi... saath nahi.
thame hue, mausam ko
chalne se koi... kaam nahi.
aane wali, duniya ka
uspar koi... prabhaav nahi.
sookh chuki, aankho mein
jeene ka... armaan nahi.

11 comments:

Prasoon said...

thats nicely written - so very perfect - i wish i could hear it sometime :)

btw, why did this feel like my current status - the last line being bang on !!

Anonymous said...

aaj tune pura paratha nahi khaya hai. its not good.

Anonymous said...

yeh jeevan ke rangon ko itne feeke sur me kyon likha hai? maayusi kyon itni? jeevan ke acche rangon ke saath chalo na.

Anonymous said...

mind boggling dear ...just ultimate ...

Ashwani said...

Simple and nice. Good stuff.

Sachin Jain said...

Sach kahun to mujhe ye padkar lagaa ki tum kahnaa to bahut kuch chahti thi par shabd kam pad gae............par fir bhi ek achaa prayaas he

Pratik Pandey said...

सुन्दर भावाभिव्यक्ति है। बधाई।

Vivek Sharma said...

wah! kya baat hai:)!

Anonymous said...

Nice one, first time reader, have to tell i'm majorly inpressed....

vi said...

Wow..came to your blog via vivek sharmas...nice nice...kavita bahut achchi hai! Mind if i add a link to your blog on mine?

vi

Dinesh said...

I liked this one best of all that I read in your Maala.