Thursday, December 22, 2005

adhoori khwahishe

ye chand din jo aaye hain
phir dukh samait laaye hain
meri adhoori khwahisho ko
peet peet kar jagaaye hain

anjaane lamho se pehchaan chaahe
bichhde sapno se mulakaat chaahe
dekhi nahi jo raahe kabhi
un raahon par apne nishaan chaahe

ye chand din jo aaye hain
meri adhoori khwahisho ko
peet peet kar jagaaye hain

ugta suraj dhalta sa lage
behta paani jamta sa lage
rukta nahi hai samay kabhi
phir bhi ye jeevan, thamta sa lage

taaro se roshni jhilmilati nahi
baago mein khushbu lehraati nahi
prakrati ne khela, khel ye kaisa
saagar ki lehre gungunaati nahi

ye chand din jo aaye hain
meri adhoori khwahisho ko
peet peet kar jagaaye hain

anjaane lamho se pehchaan chaahe
bichhde sapno se mulakaat chaahe
dekhi nahi jo raahe kabhi
un raahon par apne nishaan chaahe

ye chand din jo aaye hain
phir dukh samait laaye hain
meri adhoori khwahisho ko
peet peet kar jagaaye hain

2 comments:

Prasoon said...

Wonderful composition geetali..
par aisa kya ho gaya jo everything is just against its own laws? [i hope this was just a poem and not a real portrayal :)]
nevamind, stay happy..

Geetali said...

Will do Prasoon! Thanks!